Wednesday, 11 September 2013

aap.........

yun khamosh nazaron ne 
kuch keh diya humse
yun in sukhe labon ne
ek geet gunguna diya
dil ka sukun wapas lakar
mujhe un wadiyon mein le chala
jahan main hun aap hain
hamare pyar ka samandar hai
ek baat nai hui
par khamosh nazaron ne
shama sa bandh diya
lutaya humne sab kuch aap par
paya sab jo na tha hamare pas
sab jiske liye taras jate hain
hume woh la kar diya aapne
na kuch kaha na suna
bas aapki khamosh nazaron ne
ek jaljala sa bandh diya.................

miss you yaaron


din the woh suhane sath the jab hum
ladte the jhagarte the hum
par sath ek duje ke the hum
chai ki chuski sath liya karte the
khane par intejar kiya karte the
har din khub sari masti kiya karte the
sabji mein aloo ko famous kiya karte the
ek duje ke parents se tarif kiya karte the
har sawere breakfast kar soya karte the
raaton ko net surf kiya karte the
dopahar ko sawera kaha karte the
har choti baat par taang khicha karte the
hum the sath toh dher sari masti kiya karte the
aaj aalam hai ki bas duriyan hain
ek duje ka didar bhi na kiya karte hain
kabhi phone toh kabhi
fb ka sahara liya karte hain
tension ne gher rakha hai
parents ne dawab bana rakha hai
aaj jab sath hote toh mehsus na hota
par aaj kami khalti hai tum sab ki
kutton kamino kahan ho yaaron.........