Saturday, 19 November 2011

Tuta sa main

raat ki khamoshi kuch keh gayi
behti nadi kuch suna gayi
hawa se jhumte un pedon ne bhi kuch kaha
dil ki dharkaon ne bhi shama baandh diya
sunnana tha jo mujhe suna gaye
par ye kahan hun mujhe jo samajh na paya
aaj toh aa jao khud ke pass
samjhao toh khud ko
pass toh lao khud ko
kyun kho se gaye ho
kyun khud se hi ruth se gaye ho
samajh kyun teri dhundhli si ho gayi hai??
pass aa khud ko samjha
tut mat wapas aa
lad bhaag mat khud se
tu kar sakta hai
himmat hai tujhme
kuch kar sakta hai tu use pura kar
kar tham sa mat ja..........

Friday, 4 November 2011

bachpan tu laut aa...........

ae bachpan tu laut aa
woh lori wapas dede
woh maa ka aanchal mujhe lauta de
laut aa ae bachpan
kyun tu mujhe bhul gayi??
kyun mujhe is jawani ke pass chor gayi??
le ja unhi lamhon mein wapas mujhe
jahan sirf pyar tha
jahan nafrat na naamo-nishan na na tha
jahn mujhe apne hone ka ehsaas tha
jahan mere bhai behan hi dost
aur maa baap hi sab kuch the
sat rahi ye jawani mujhe 
andar hi andar khaye ja rahi mujhe
jhute pyar ka wasta de rahi mujhe
ruthe aur pathrilo raaston par chala raha mujhe
nafrat shikha raha mujhe
dhokhe dila kar jabardasti hasa raha mujhe
masoom chehre par ek parda laga raha hai
laut aa bahut yaad aati hai tu
rota hun akela ab
maa nai hai aansu pochne ko
galti karta rehta hun ab
paa nai hai daantane ko
ye jawani bahut buri hai
tu hi achi aur pyari thi
ansuna mat kar mujhe
sun le meri aawaz
laut aa ab laut aa..........................

Sirf main.....

har ek chehra apna laga
har ek dil ke liye dharka ye dil
har ek muskan par kurbaan kiya ye dil
har ek aansu ne dil par acid ka kaam kiya
har waqt sabke liye socha
isi soch mein kho sa gaya
par kyun ye jaan na saka 
par jab bhi kisi awaz ne pyar maanga 
maine tut kar kiya 
kya pyar paane ka haq mujhe nai hai??
ek mushkurahat meri nai ho sakti ??
har aansu main roun??
naaz hone ka haq mera haq nai??
jao toh aaj se sirf main hun
sirf main hun ,akela
tanhaiyee meri dost
aur shanti mera pyar hai.............

dharkan..........

dil ki ek suraakh se jhanka
dikhi dharkan mujhe....
jhujhte hue khud se
ye ladai mere andar kaisi??
janane ki koshish ki ki maine
toh pata chala ki
rishton ki dor ulajh se gaye hain
suljhane ki jab koshish ki
aur ulajh se gaye woh
dharkan ko hatane ki ja koshish ki
toh woh tham si gayi
tab maine ye jana  
ye dharkan rishton ki ghulam 
aur ye uljhe hue rishte hi uske humsafar hain
ye ulajh se jaate hain
aur dharkan ko bhi shamil kar lete hain
aur meri dharkan
kahi madham
toh kahi tej si ho jati hai.........