har ek chehra apna laga
har ek dil ke liye dharka ye dil
har ek muskan par kurbaan kiya ye dil
har ek aansu ne dil par acid ka kaam kiya
har waqt sabke liye socha
isi soch mein kho sa gaya
par kyun ye jaan na saka
par jab bhi kisi awaz ne pyar maanga
maine tut kar kiya
kya pyar paane ka haq mujhe nai hai??
ek mushkurahat meri nai ho sakti ??
har aansu main roun??
naaz hone ka haq mera haq nai??
jao toh aaj se sirf main hun
sirf main hun ,akela
tanhaiyee meri dost
aur shanti mera pyar hai.............
No comments:
Post a Comment