Friday, 23 December 2011

jal jane ki chahat





Dhundhte rehte hain hum khud mein who aag
Jiski hame talaash hai
Par hum mein hi kahin kisi kone hai woh dafan hai
Bas chayiye ek chingari
Jiski hame talaash hai
Par har waqt hum us chingari ko
Khud se bhujahte ja rahe hain hain
Har waqt use hum phukte ja rahe hain
Janana hai pehchana hai
Us chingari ko aag banana hai
Us aag main khud ko jala kar
Khud ko sona banana hai
Kab milegi woh chingari??
Jisse jalegi aag hamari
Kab tak dafan rahegi khud ko jalakar
Sona ban jane ke armaan
Ab raah dikha o uparwale
Sona banana ki hai betaabi hamari….

No comments:

Post a Comment