Monday, 9 July 2012

bin tere

sagar kinare baitha raha main
dubte suraj ko takta raaha main
sham thi woh bin tere
aaj phir hui woh barish
aaj bhi tahni hili woh
aaj phir boondein giri woh
bhinga fir bin tere
aaj phir jab ghar lauta
phir  jab thi na wahan tum
dil mein hook si uthi
par kar saka na kuch wahan main
phir khane ki mej par
jab akela baitha main
ankhon se giri boondein
kha na paya bin tere
bin tmhare gujarti
na ye na ye sham
fir bhi tum ho ye kehti
khub gujrti hai meri sham...............

No comments:

Post a Comment