Thursday, 3 October 2013

bahut kuch karna hai mujhe

khuli aakhon se sapna dekhna hai mujhe

na paya aaj tak kisine woh pana hai mujhe

na kisi ki sakh na sath chayiye mujhe

akele hi majhdhar se jhujhna hai mujhe

na darna hai na jhukna hai hai mujhe

aage hi aage bas badhna hai mujhe

 kal apne maa baap ka sapna pura karna hai mujhe

bas chalte jana hai mujhe

na rukna hai na haarna hai mujhe

bulandiyon par ghar karna hai mujhe

abhi bas ek beej hun hara bhara banana hai mujhe.......

Wednesday, 11 September 2013

aap.........

yun khamosh nazaron ne 
kuch keh diya humse
yun in sukhe labon ne
ek geet gunguna diya
dil ka sukun wapas lakar
mujhe un wadiyon mein le chala
jahan main hun aap hain
hamare pyar ka samandar hai
ek baat nai hui
par khamosh nazaron ne
shama sa bandh diya
lutaya humne sab kuch aap par
paya sab jo na tha hamare pas
sab jiske liye taras jate hain
hume woh la kar diya aapne
na kuch kaha na suna
bas aapki khamosh nazaron ne
ek jaljala sa bandh diya.................

miss you yaaron


din the woh suhane sath the jab hum
ladte the jhagarte the hum
par sath ek duje ke the hum
chai ki chuski sath liya karte the
khane par intejar kiya karte the
har din khub sari masti kiya karte the
sabji mein aloo ko famous kiya karte the
ek duje ke parents se tarif kiya karte the
har sawere breakfast kar soya karte the
raaton ko net surf kiya karte the
dopahar ko sawera kaha karte the
har choti baat par taang khicha karte the
hum the sath toh dher sari masti kiya karte the
aaj aalam hai ki bas duriyan hain
ek duje ka didar bhi na kiya karte hain
kabhi phone toh kabhi
fb ka sahara liya karte hain
tension ne gher rakha hai
parents ne dawab bana rakha hai
aaj jab sath hote toh mehsus na hota
par aaj kami khalti hai tum sab ki
kutton kamino kahan ho yaaron.........

Friday, 19 April 2013

khwab kuch tute se.....

ek hum the unke intejar mein bekarar
ek woh the humse bekhabar
ek hum karte the unse beinteha pyar
ek woh hain  is pyar se anjan
aaj ek hook si uthi hai dil mein
kyun kar pate hum unse itna pyar
par dil ko nai malum ye
dimag isko samjhata ek khwab
woh khwab jo pura ho nai sakta
ek khwab jisme rang dale nai ja skte
ek khwab jo tutne ke liye bana hai
par dil toh dil hai
isko na ye ilm hai 
ki sapna tutne wala hai
par khuli ankhon se woh khwab chanta hai
har pal unki yaad dilata hai
ek woh hain ukno na hai khabar
ki ye dil unko hi chahta hai
ek khumar sa hai unke liye is dil mein
par kya karun un tak na pahunch pata hai
woh khoye hain kahin aur
woh dube hain apni duniya mein
dur hain meri nazron se fir bhi dekh pata hun
dil ke karib hain woh unko ni samjh aata hai