Friday, 19 April 2013

khwab kuch tute se.....

ek hum the unke intejar mein bekarar
ek woh the humse bekhabar
ek hum karte the unse beinteha pyar
ek woh hain  is pyar se anjan
aaj ek hook si uthi hai dil mein
kyun kar pate hum unse itna pyar
par dil ko nai malum ye
dimag isko samjhata ek khwab
woh khwab jo pura ho nai sakta
ek khwab jisme rang dale nai ja skte
ek khwab jo tutne ke liye bana hai
par dil toh dil hai
isko na ye ilm hai 
ki sapna tutne wala hai
par khuli ankhon se woh khwab chanta hai
har pal unki yaad dilata hai
ek woh hain ukno na hai khabar
ki ye dil unko hi chahta hai
ek khumar sa hai unke liye is dil mein
par kya karun un tak na pahunch pata hai
woh khoye hain kahin aur
woh dube hain apni duniya mein
dur hain meri nazron se fir bhi dekh pata hun
dil ke karib hain woh unko ni samjh aata hai

No comments:

Post a Comment