Kuch karne ki takat nai hai
Phir bhi khud par guman hai
Ek dhudhli si tasweer nazar aati hai
Jo mujhe aage badhne ka hausla de jati hai
Kehti hai rukna nai
Tum tej ho kabhi haarna nai
Sirf us awaz ke dam par main badhta ja raha hun
Pata nai who awaz kiski hai
Par jo agar andar se toh main kamjor nai
Koi mujhe diga de
Kisime itna jor nai
Hausla mujhe milte jayega aur main yun hi
Chalta jaunga
Main tutunga nai
Main harunga nai
Par haan kisiko harne dunga bhi nai
Haar ka dukh maine dekha hai
Har kisi main tut kar judne ki himmat nai hoti
Aur sabke pass koi awaz nai hoti…………