Adhura tha kal bhi
Adhura hun aaj bhi
Pura hone ka ehsaas nai
Tute bihkare patton jaisa
Khud ko pata hun waisa
Har pal ek kami si hai
Mere aankhon kuch nami si hai
Aansun bhi pure na mere
Aisi hi kuch kami si hai
Zindagi in ajan pathrilee raston par
Par kuch akela sa hun
Haan main kuch khoya sa hun
Dil mein sukun ki kami si hai
Dil mein umang ki kami si hai
Tut kar bhi tuta nai hun main
Par haan ek kami si hai
Chah kar bhi jud na pa raha hun
Aisi mujhme hi kuch kami si hai…..
No comments:
Post a Comment