ek din sawere jab aankhen khuli
toh dekha suraj ko apni chaukhat par
bahein failaye mujhe apni oar bulaya
us din ko uth kar salaam kiya
fir khud ko unke hawale kiya
ek ajeeb sa sukun tha sawere ka
dil mein umang sa tha kuch
bahar nikal kar jab ghaas par pehla kadam dala
laga ki kuch pa liya hai maine
woh nami kuch aise dil tak chu gayi
ki uska nisan ab tak hai baaki
thandi hawaon ne kuch aise chua
laga ki dil tak chua mujhe kisine
dil ki dharkan kuch tham si gayi
par mahsus na hua ki main zinda nai hun
aisi thi woh subah ki mehsus hua
ki sach kehte hain bade budhe
ki unke jawan rehne ka raaz yahi hai
par mujhe laga ki sukun agar hai toh
har sawere suraj ko khud ki bahon mein thamne ka maza
hi kuch aur hota hai
prakriti ki goad mein paya khud ko us din
jhula us din us goad mein
maa ki goad agar na mile
toh shayad prakriti ki goad uske samtulya hai
toh dekha suraj ko apni chaukhat par
bahein failaye mujhe apni oar bulaya
us din ko uth kar salaam kiya
fir khud ko unke hawale kiya
ek ajeeb sa sukun tha sawere ka
dil mein umang sa tha kuch
bahar nikal kar jab ghaas par pehla kadam dala
laga ki kuch pa liya hai maine
woh nami kuch aise dil tak chu gayi
ki uska nisan ab tak hai baaki
thandi hawaon ne kuch aise chua
laga ki dil tak chua mujhe kisine
dil ki dharkan kuch tham si gayi
par mahsus na hua ki main zinda nai hun
aisi thi woh subah ki mehsus hua
ki sach kehte hain bade budhe
ki unke jawan rehne ka raaz yahi hai
par mujhe laga ki sukun agar hai toh
har sawere suraj ko khud ki bahon mein thamne ka maza
hi kuch aur hota hai
prakriti ki goad mein paya khud ko us din
jhula us din us goad mein
maa ki goad agar na mile
toh shayad prakriti ki goad uske samtulya hai
No comments:
Post a Comment