Sunday, 9 October 2011

manawta....ek abhisaap

Kya kiya hmne is duniya mein aakar??
Per kate,nadi ka rasta roka
Zameen kureda
Prakriti ka santulan bigada
Ab kya bach gaya tha??
Ab hamne apno ko batna shuru kiya
Pehle desh
Fir rajya aur chote rajya
Har jagah apne ko dusre se upar saabit karne ki koshish
Kya hum yahi karne ke liye hain yahan??
Sawal ka jawab sab na mein denge
Par ja kar wahi karenge jo unki marzi hai
Kis baat ki kami hai hame kyun bhagte hain hum
Ye tucch sukh subhidhaon ke liye??
Kya manusya aman shanti ke raste par nai chal sakta??
Utsukta ka matlab galat istemal karte hain hum
Hum kehte hain hum
Utsuk hai kisi ko samajhkar use apne vash mein karne ki
Har jagah hamne apne vyaktitawa ko kurition se dakh rakha hai
Ham manusya nai hain hum un janwron se bhi bhinn nai hai
Hamme bhi woh haiwaniyat aur bhukh hai sabko apna gulam banane ki


No comments:

Post a Comment