kuch socha tha maine
jo kabhi ho na saka
kuch chaha tha maine
jo mil na saka
kuch janana tha mujhe
jo jaan na saka
kuch pana tha mujhe
jo pa na saka
kehte hain ki kch na mile toh
intezaar karo
woh main kar na saka
hua wahi jo hona tha
par mein samajh na saka
kyun jo hua use hona tha
kyun jo na pana tha woh paya
kyun jo nai janana tha woh jana
kyun mein ulajh sa gaya
kya mera kasur tha sawal karna??
kya mera janane ka haq nai ki main kuch jaan sakun??
kyun mujhpar sab jabardasti dala gaya??
par itna jarur samajh gaya ki ab chahna bekar hai
jo chahe woh milta nai
aur jo na chaho woh mil jata hai
kamal hai ye sab aur ise hum kehten hai
UNEXPECTED.........................
No comments:
Post a Comment