waqt bewaqt kadam tanha hojate hain
haathon se haath chut jate hain
is bhid bhad wali duniya mein
akele par jaya karte hain
sath reh jati hain
kuch yaadein
sine mein bandhi
kuch hasin pal
kuch meethe khatte dard ke paimane
kuch baatein jo hothon tak na aa sakin
kuch baatein
jo kisi ke chehre ki hansi uda gaye
kuch baatein
jo roti surat ko hansi ki fuhare de gaye
aise hi reh jate hain hum
jahan zindagi akeli aur viraan dikhti hai
raet par padchinh ke alwa aur kuch nai dikhta
duri par dubta suraj
hilkor khata sagar
aur thke mande pakshi
apne ashiyne par lautate
dikh jate hain
haathon se haath chut jate hain
is bhid bhad wali duniya mein
akele par jaya karte hain
sath reh jati hain
kuch yaadein
sine mein bandhi
kuch hasin pal
kuch meethe khatte dard ke paimane
kuch baatein jo hothon tak na aa sakin
kuch baatein
jo kisi ke chehre ki hansi uda gaye
kuch baatein
jo roti surat ko hansi ki fuhare de gaye
aise hi reh jate hain hum
jahan zindagi akeli aur viraan dikhti hai
raet par padchinh ke alwa aur kuch nai dikhta
duri par dubta suraj
hilkor khata sagar
aur thke mande pakshi
apne ashiyne par lautate
dikh jate hain